kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki
main ne jalte hue KHwabon ki aza-dari ki
waqt ne us ke muqaddar mein likhi tariki
jis ne chaDhte hue suraj ki taraf-dari ki
dil dhaDakne pe musir tha so dhaDakta hi gaya
lamha-e-did ki aankhon ne nigah-dari ki
taq-e-har-chashm pe KHwabon ke diye bujh se gae
kuchh hawa aisi chali shahr mein bedari ki
sukh ka kirdar nibhane ke liye umr tamam
main ne roti hui aankhon se adakari ki

Ghazal
Kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki
Mohsin Changezi