اردو हिंदी
Kucha-ha-e-dil-o-jaan ki tira-shabo aas marti nahin | Shaahi Shayari
kucha-ha-e-dil-o-jaan ki tira-shabo aas marti nahin

Ghazal

Kucha-ha-e-dil-o-jaan ki tira-shabo aas marti nahin

seemab zafar

;

kucha-ha-e-dil-o-jaan ki tira-shabo aas marti nahin
aaKHiri sans bharte sitaro suno aas marti nahin

chashm-e-giryan zara tham bhi ja ashk mein dil bhi bah jaega
sabr sahra-e-wahshat ke matam-garo aas marti nahin

dard uThne se dil ke sharare kahan bujh sake hain kabhi
lakh raushan nigahon mein KHun la bharo aas marti nahin

wali-e-shahr naghmon ka qatil baja par hamein gham hai kya
fikr zinda ho jab tak mere shairo aas marti nahin

tum se pahle bhi KHwabon ki gardan uDane baDe aae the
sar kaTe KHwab chilla uThe dosto aas marti nahin

rakh bin jal bujhe par ye dil se dhuan ab bhi uThta hai kyun
aankh mein dekhne ki sakat ho na ho aas marti nahin