kucha-e-ishq se kuchh KHwab uTha kar le aae 
the gada tohfa-e-nayab uTha kar le aae 
kaun si kashti mein baiThen tere bande maula 
ab jo duniya koi sailab uTha kar le aae 
hae wo log gae chand se milne aur phir 
apne hi TuTe hue KHwab uTha kar le aae 
aisa ziddi tha mera ishq na bahla phir bhi 
log sach-much kai mahtab uTha kar le aae 
sath-e-sahil na rahi jab koi qimat in ki 
hum KHazanon ko tah-e-ab uTha kar le aae 
jab mila husn bhi harjai to us bazm se hum 
ishq-e-awara ko betab uTha kar le aae 
is ko kam-zarfi-e-rindan-e-girami kahiye 
nashe chhoD aae mai-e-nab uTha kar le aae 
anjuman-sazi-e-arbab-e-hunar kya kahiye 
un ko wo aur unhen ahbab uTha kar le aae 
hum wo shair hamein likhne lage jab log to hum 
guftugu ke nae aadab uTha kar le aae 
KHwab mein lazzat-e-yak-KHwab hai duniya meri 
aur mere falsafi asbab uTha kar le aae
        Ghazal
Kucha-e-ishq se kuchh KHwab uTha kar le aae
Obaidullah Aleem

