ku-e-jaanan mujh se hargiz itni begana na ho
ain mumkin hai ki phir teri taraf aana na ho
ain mumkin hai ki dohraun hadis-e-digaran
aaj jo meri zaban par hai wo afsana na ho
ain mumkin hai ki ja pahunchun kisi mirriKH par
is zamin se koi rishta koi yarana na ho
pir-e-mai-KHana ye mumkin hai ki mera ja-nashin
rind ho par waqif-e-adab-e-mai-KHana na ho
tu mujhe farzangi ka fan na sikhla ai KHirad
ain mumkin hai ki mujh sa koi diwana na ho
ain mumkin hai ki main tujh se bichhaD jaane ke baad
aisa ban jaun ki KHud teri jise parwa na ho
ain mumkin hai ki teri be-ruKHi ko dekh kar
main wo kafir hun jo mashur-e-ruKH-e-zeba na ho
soch mat ai dost tere baad kya hoga ye soch
yani mere baad phir mujh sa koi paida na ho
phir na uTThe koi aarif meri waza-e-KHas ka
aur mujh sa shair-e-sarshaar-o-hosh-afza na ho
yani mere baad koi mard-e-hikmat-afrin
manzar-e-hikmat pe aae aur farzana na ho
mujh ko tark-e-dosti ke is qadar tane na de
main tera dushman nazar aane lagun aisa na ho
phir kahe deta kahe deta kahe deta hun main
ku-e-jaanan mujh se hargiz itni begana na ho
Ghazal
Ku-e-jaanan mujhse hargiz itni begana na ho
Rais Amrohvi