kul jahan ek aaina hai husn ki tahrir ka 
haal kis patthar pe likkha hai meri taqdir ka 
chand us ka aasman us ka sar-e-sham-e-visal 
jis pe saya ho teri zulf-e-sitara-gir ka 
ki na chashm-e-shauq ne jumbish-e-hujum-e-rang mein 
mujh pe tari ho gaya aalam teri taswir ka 
main use samjhun na samjhun dil ko hota hai zarur 
lala o gul par guman ek ajnabi tahrir ka 
chain se donon nahin is aalam-e-ehsas mein 
main teri chup ka hun zaKHmi tu meri taqrir ka
        Ghazal
Kul jahan ek aaina hai husn ki tahrir ka
Sahba Akhtar

