اردو हिंदी
Kuchh yaad nahin usko ki kya bhul gaya hai | Shaahi Shayari
kuchh yaad nahin usko ki kya bhul gaya hai

Ghazal

Kuchh yaad nahin usko ki kya bhul gaya hai

J. P. Saeed

;

kuchh yaad nahin us ko ki kya bhul gaya hai
dil jaise ki jine ki ada bhul gaya hai

mausam ke badalte hi mizaj us ka bhi badla
wo meri wafaon ka sila bhul gaya hai

main yaad hun jis shaKHs ko sine se lagae
wo shaKHs to ab nam mera bhul gaya hai

kanon pe hai bas ek sada ka teri pahra
har ek sada us ke siwa bhul gaya hai

bimar ko us samt nahin fikr-e-mudawa
us samt mualij bhi dawa bhul gaya hai

malum karen puchh ke kuchh us se sawalat
kya yaad hai us shaKHs ko kya bhul gaya hai

qirtas ne har ek amal kar liya mahfuz
mujrim hi magar apni KHata bhul gaya hai

padash mein aamal ki nazron se gira kar
lagta hai ki ab hum ko KHuda bhul gaya hai

ilzam na do tum nae shair ko 'said' aaj
jo surKHi-e-lab rang-e-hina bhul gaya hai