kuchh to mil jae kahin dida-e-pur-nam ke siwa
aankh se Tapke wahi girya-e-matam ke siwa
gulshan-e-zist mein mausam ka badalna kya hai
kash ruk jae koi dard ke mausam ke siwa
subh ka waqt hai kirnon ko bata de koi
KHush hain gulshan mein sabhi qatra-e-shabnam ke siwa
wo zamane ka taghayyur ho ki mausam ka mizaj
be-zarar donon hain nairangi-e-adam ke siwa
aise tufan ki hai tamhid ye maujuda sukut
kuchh na jab hoga yahan shorish-e-paiham ke siwa
Ghazal
Kuchh to mil jae kahin dida-e-pur-nam ke siwa
Arshad Kamal