kuchh to dekhen asar charagh chale
bujh hi jae magar charagh jale
muskura kar ye kis ne dekh liya
rahguzar rahguzar charagh jale
utni hi aur tirgi phaili
shahr mein jis qadar charagh jale
kaun jaane ki kin amiron par
sham se ta-sahar charagh jale
qabil-e-did hai ye aalam bhi
is taraf dil udhar charagh jale
sari basti dhuen mein Dub gai
shahr mein is qadar charagh jale
'shauq' aandhi hai aaj zoron par
aaj har gam par charagh jale

Ghazal
Kuchh to dekhen asar charagh chale
Shauq Mahri