kuchh to batao shair-e-bedar kya hua 
kis ki talash hai tumhein aur kaun kho gaya 
aankhon mein raushni bhi hai viraniyan bhi hain 
ek chand sath sath hai ek chand gah gaya 
tum ham-safar hue to hui zindagi aziz 
mujh mein to zindagi ka koi hausla na tha 
tum hi kaho ki ho bhi sakega mera ilaj 
agli mohabbaton ke mere zaKHm-ashna 
jhanka hai main ne KHalwat-e-jaan mein nigar-e-jaan 
koi nahin hai koi nahin hai tere siwa 
wo aur tha koi jise dekha hai bazm mein 
gar mujh ko DhunDna hai meri KHalwaton mein aa 
ai mere KHwab aa meri aankhon ko rang de 
ai meri raushni tu mujhe rasta dikha 
ab aa bhi ja ki subh se pahle hi bujh na jaun 
ai mere aaftab bahut tez hai hawa 
ya-rab ata ho zaKHm koi sher-afrin 
ek umr ho gai ki mera dil nahin dukha 
wo daur aa gaya hai ki ab sahiban-e-dard 
jo KHwab dekhte hain wahi KHwab na-rasa 
daman bane to rang hua dastaras se dur 
mauj-e-hawa hue to hai KHushbu gurez-pa 
likkhen bhi kya ki ab koi ahwal-e-dil nahin 
chiKHen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada 
aankhon mein kuchh nahin hai ba-juz KHak-e-rahguzar 
sine mein kuchh nahin hai ba-juz nala-o-nawa 
pahchan lo hamein ki tumhaari sada hain hum 
sun lo ki phir na aaenge hum se ghazal-sara
        Ghazal
Kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
Obaidullah Aleem

