اردو हिंदी
Kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka | Shaahi Shayari
kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka

Ghazal

Kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka

Basit Bhopali

;

kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka
shama ne luT liya soz bhi parwane ka

zabt-e-fariyaad ki be-sud tawaqqo dil se
zarf kyun dekhiye TuTe hue paimane ka

mera miTna nahin aasan mohabbat ki qasam
maut hai nam tere dil se utar jaane ka

hashr tak roegi duniya-e-mohabbat mujh ko
silsila KHatm na hoga mere afsane ka

maut ki nind se insan ko jaga deti hai
jis haqiqat mein zara rang ho afsane ka

is tarah mujh se muKHatab hai zamana jaise
hosh ki fikr bhi ek farz ho diwane ka

un ke andaz-e-sitam ka hai taqaza 'basit'
ahd kar lijiye mar mar ke jiye jaane ka