kuchh sabil-e-rizq ho phir kahin makan bhi ho
tu abhi yahan na aa shahr mein aman bhi ho
sari raat inT se inT shahr ki baje
aur baam-e-subh par KHush-nawa azan bhi ho
aur meri ye dua bhi qubul ho gai
qatl bhi mujhe kare mujh pe mehrban bhi ho
kuchh to aafat-e-samawi se dhyan bhi haTe
wo jo ran paDa wahan ran wahi yahan bhi ho
KHwab le ke shahr mein aae ho nae nae
KHush-mizaj ho meri tarah KHush-guman bhi ho
meri apni marzi ke rang hon fazaon mein
mere dast mein zamin hai to aasman bhi ho

Ghazal
Kuchh sabil-e-rizq ho phir kahin makan bhi ho
Shafaq Sopori