kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhona hai yahan
sath laya hun usi ko jise khona hai yahan
bhiD chhaT jaegi pal mein ye KHabar uDte hi
ab koi aur tamasha nahin hona hai yahan
ye bhanwar kaun sa moti mujhe de sakta hai
baat ye hai ki mujhe KHud ko Dubona hai yahan
kya mila dasht mein aa kar tere diwane ko
ghar ke jaisa hi agar jagna sona hai yahan
kuchh bhi ho jae na manunga magar jism ki baat
aaj mujrim to kisi aur ko hona hai yahan
yun bhi darkar hai mujh ko kisi binai ka lams
ab kisi aur ka hona mera hona hai yahan
ashk palkon pe saja lun main abhi se 'shaariq'
shab hai baqi to tera zikr bhi hona hai yahan
Ghazal
Kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhona hai yahan
Shariq Kaifi