kuchh nahin hai to ye andesha ye Dar kaisa hai
ek andhera sa ba-hangam-e-sahar kaisa hai
kyun har ek rah mein wahshat si barasti hai yahan
ek ek moD pe ye KHauf-o-KHatar kaisa hai
phir ye sochon mein hain mayusi ki lahren kaisi
phir ye har dil mein udasi ka guzar kaisa hai
us se hum chhanw ki ummid bhala kya rakkhen
dhup deta hai hamesha ye shajar kaisa hai
raushni hai na hawaon ka guzar hai is mein
mere hisse mein jo aaya hai ye ghar kaisa hai
ek muddat hui aankhon se bahe the aansu
daman-e-shauq magar aaj bhi tar kaisa hai
umr bhar chal ke bhi pai nahin manzil hum ne
kuchh samajh mein nahin aata ye safar kaisa hai
hum ne dekhe the kai KHwab suhane lekin
tajraba ab hua KHwabon ka nagar kaisa hai
kaise ug aaya hai aabaadi mein virana 'KHumar'
shahr ke bich ye sunsan khanDar kaisa hai
Ghazal
Kuchh nahin hai to ye andesha ye Dar kaisa hai
Suleman Khumar