kuchh na kuchh sochte raha kije
aasman dekhte raha kije
chaar-diwari-e-anasir mein
kudte-phandte raha kije
is tahayyur ke kar-KHane mein
ungliyan kaTte raha kije
khiDkiyan be-sabab nahin hotin
takte-jhankte raha kije
raste KHwab bhi dikhate hain
nind mein jagte raha kije
fasl aisi nahin jawani ki
dekhte-bhaalte raha kije
aaine be-jahat nahin hote
aks pahchante raha kije
zindagi is tarah nahin kaTti
faqat andazte raha kije
na-sipasan-e-ilm ke sar pe
pagDiyan bandhte raha kije
Ghazal
Kuchh na kuchh sochte raha kije
Rasa Chughtai