kuchh na KHat mein na kuchh jawab mein hai
jo bhi kuchh hai tere hisab mein hai
ye wafa bhi jafa ke bab mein hai
jaan meri bhi ek azab mein hai
tere jalwe se mehr-e-alam-tab
nur jis tarah mahtab mein hai
apni hai aur manzil-e-maqsud
aap ka kucha paturab mein hai
kuchh na samjhe haqiqat-e-alam
sara hangama ek KHwab mein hai
tum ne kya baat raat kah di thi
ghair bhi aaj iztirab mein hai
rashk-e-ishrat hai lazzat-e-hasrat
kuchh gunah mein hai ne sawab mein hai
hosh aaega ab qayamat ko
sari duniya abhi to KHwab mein hai
jab se wada kiya hai aane ka
'qadri' un ke roab-o-dab mein hai
Ghazal
Kuchh na KHat mein na kuchh jawab mein hai
Khalid Hasan Qadiri