kuchh na hone ki haqiqat nahin jaani yani
hum har isbaat pe karte rahe yani yani
tah bhi ek sath ki tabir hai sunte the yahi
sath par tairne walon ki zabani yani
mil gai KHak mein buniyaad-e-chaman-zar-e-wajud
apni mearaj ko pahunchi hama-dani yani
apne mahmil se nikal aae jo mahmil mein nahin
wahshat-e-qais ke hain aaj ye mani yani
shor-e-dawa-e-anal-haq hai ki thamta hi nahin
koi sunta hi nahin meri kahani yani
koi hone se ye kam hai ki hue jata hun
hai na hona mere hone ki nishani yani
haar samjhe ho jise dhaar hai lamhon ki 'muhib'
rishta-e-umr hai ek aks-e-rawani yani
Ghazal
Kuchh na hone ki haqiqat nahin jaani yani
Muhib Aarfi

