kuchh main ne kahi hai na abhi us ne suni hai
chitwan hai ki talwar liye sar pe khaDi hai
aane ko hai koi jo lalak phir se hui hai
Dube hue suraj ki kiran phuT rahi hai
hai pighli hui aag ki jalte hue aansu
luka wahin uTha hai jahan bund paDi hai
jab sukh nahin jine mein to ek rog hai jina
sans aai hai jab choT kaleje mein lagi hai
kal kya kahen dekhin wo badalti hui chitwan
sau aasare TuTe hain to ek aas bandhi hai
main kuchh na kahun aur wo jo chahe kahe jaen
ab roki hui sans gala ghunT rahi hai
kahne ko to aati hai unhen han bhi nahin bhi
ho jis pe bharosa na wahi hai na yahi hai
ubhre hue chhaale hain hai roka hua aansu
bas bujh chuki ye aag ki pani se lagi hai
Ghazal
Kuchh maine kahi hai na abhi usne suni hai
Arzoo Lakhnavi