kuchh log jo sawar hain kaghaz ki naw par
tohmat tarashte hain hawa ke dabaw par
mausam hai sard-mehr lahu hai jamaw par
chaupal chup hai bhiD lagi hai alaw par
sab chandni se KHush hain kisi ko KHabar nahin
phaha hai mahtab ka gardun ke ghaw par
ab wo kisi bisat ki fehrist mein nahin
jin manchalon ne jaan laga di thi daw par
suraj ke samne hain nae din ke marhale
ab raat ja chuki hai guzishta paDaw par
gul-dan par hai naram sawere ki zard dhup
halqa bana hai kanpti kirnon ka ghaw par
yun KHud-farebiyon mein safar ho raha hai tai
baiThe hain pul pe aur nazar hai bahaw par
mausam se saz ghairat-e-gulshan se be-niyaz
hairat hai mujh ko apne chaman ke subhaw par
kya daur hai ki marham-e-zangar ki jagah
ab chaara-gar sharab chhiDakte hain ghaw par
tajir yahan agar hain yahi ghairat-e-yahud
pani bikega KHun-e-shahidan ke bhaw par
pahle kabhi riwaj bani thi na be-hisi
nadim bigaD par hain na KHush mein banaw par
har rang se payam utarte hain ruh mein
paDti hai jab nigah dhanak ke jhukaw par
'danish' mere sharik-e-safar hain wo kaj-mizaj
sahil ne jin ko phenk diya hai bahaw par
Ghazal
Kuchh log jo sawar hain kaghaz ki naw par
Ehsan Danish