اردو हिंदी
Kuchh log jo naKHwat se mujhe ghur rahe hain | Shaahi Shayari
kuchh log jo naKHwat se mujhe ghur rahe hain

Ghazal

Kuchh log jo naKHwat se mujhe ghur rahe hain

Yawar Abbas

;

kuchh log jo naKHwat se mujhe ghur rahe hain
mahaul se shayad ye bahut dur rahe hain

kya kahiye ki kya ho gaya is shahr ka aalam
jis shahr mein ulfat ke bhi dastur rahe hain

majbur kise kahte hain ye kaun batae
puchhe koi un se ki jo majbur rahe hain

kuchh log sar-e-dar rahe hon to rahe hon
hum hain ki bahar-taur sar-e-tur rahe hain

hanste hue chehron pe na ja sinon mein un ke
haalat ke Takraw se nasur rahe hain

ai shaiKH ghanimat hai agar hum ko samajh lo
hum mansab-e-tasdiq pe mamur rahe hain

ek tum ki KHudai ke bhi dawe rahe tum ko
ek hum ki is iqrar se mazur rahe hain

sukkan-e-haram kya hain ye mujh se koi puchhe
allah ke ghar mein bhi ye maghrur rahe hain

ehsan baDa bojh hai is KHauf se 'yawar'
diwar ke sae se bhi hum dur rahe hain