kuchh KHwab kuchh KHayal mein mastur ho gae
tum kya qarib nikle ki sab dur ho gae
aankhon ke dar the band to jina muhaal tha
aankhen khulin to aur bhi mazur ho gae
aise chhape ki surma-e-chashm-e-jahan hue
aise khule ki barq-e-sar-e-tur ho gae
jadugari ke raaz se na-ashna na the
hum to tere KHayal se majbur ho gae
miTTi pe aa gai thi zara der ko bahaar
bas log itni baat pe maghrur ho gae
patthar to puje jate hain is rah mein 'jamil'
tum to zara si Thes lagi chur ho gae
Ghazal
Kuchh KHwab kuchh KHayal mein mastur ho gae
Ataur Rahman Jameel