kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha
wo nahin tha to use yaad to kar lena tha
kuchh uDanon ke liye apne paron ko pahle
jumbish o jast se aazad to kar lena tha
phir zara dekhte tasir kise kahte hain
dil ko bhi shamil-e-fariyaad to kar lena tha
koi tamir ki surat bhi nikal hi aati
pahle is shahr ko barbaad to kar lena tha
qais ke baad ghazalan ki tasalli ke liye
'hashmi' dasht ko aabaad to kar lena tha
Ghazal
Kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha
Manzoor Hashmi