kuchh KHabar lai to hai baad-e-bahaari us ki
shayad is rah se guzregi sawari us ki
mera chehra hai faqat us ki nazar se raushan
aur baqi jo hai mazmun-nigari us ki
aankh uTha kar jo rawadar na tha dekhne ka
wahi dil karta hai ab minnat o zari us ki
raat ki aankh mein hain halke gulabi Dore
nind se palken hui jati hain bhaari us ki
us ke darbar mein hazir hua ye dil aur phir
dekhne wali thi kuchh kar-guzari us ki
aaj to us pe Thaharti hi na thi aankh zara
us ke jate hi nazar main ne utari us ki
arsa-e-KHwab mein rahna hai ki lauT aana hai
faisla karne ki is bar hai bari us ki
Ghazal
Kuchh KHabar lai to hai baad-e-bahaari uski
Parveen Shakir