اردو हिंदी
Kuchh karo fikr mujh diwane ki | Shaahi Shayari
kuchh karo fikr mujh diwane ki

Ghazal

Kuchh karo fikr mujh diwane ki

Mir Taqi Mir

;

kuchh karo fikr mujh diwane ki
dhum hai phir bahaar aane ki

dil ka us kunj-e-lab se de hai nishan
baat lagti to hai Thikane ki

wo jo phirta hai mujh se dur hi dur
hai ye taqrib ji ke jaane ki

tez yun hi na thi shab aatish-e-shauq
thi KHabar garm us ke aane ki

KHizr us KHatt-e-sabz par to mua
dhun hai ab apne zahr khane ki

dil-e-sad-chaak bab-e-zulf hai lek
baw si bandh rahi hai shane ki

kisu kam-zarf ne lagai aah
tujh se mai-KHane ke jalane ki

warna ai shaiKH-e-shahr wajib thi
jam-dari sharab-KHane ki

jo hai so paemal-e-gham hai 'mir'
chaal be-Dol hai zamane ki