kuchh kahun kahna jo mera kijiye
chahne wale ko chaha kijiye
hausla tegh-e-jafa ka rah na jae
aaiye KHun-e-tamanna kijiye
fitna-e-roz-e-qayamat hai wo chaal
aaj wo aate hain dekha kijiye
kis ko dekha un ki surat dekh kar
ji mein aata hai ki sajda kijiye
fitne sab barpa kiye hain husn ne
meri ulfat ko na ruswa kijiye
hur-e-jannat un se kuchh baDh kar sahi
ek dil kya kya tamanna kijiye
kar diya hairat ne mujh ko aaina
be-takalluf munh dikhaya kijiye
josh mein aa jae rahmat ki tarah
ek ek qatre ko dariya kijiye
nam agar darkar hai misl-e-nagin
ek ghar mein jam ke baiTha kijiye
mil chuke ab milne wale KHak ke
qabr par ja ja ke roya kijiye
kaun tha kal bais-e-be-pardagi
aap mujh se aaj parda kijiye
kal ki baaton mein to kuchh narmi si hai
aaj phir qasid rawana kijiye
rah takte takte 'asi' chal basa
kyun kisi se aap wada kijiye
Ghazal
Kuchh kahun kahna jo mera kijiye
Aasi Ghazipuri