kuchh is tarah gham-e-ulfat ki kaenat luTi
meri zaban se nikli har ek baat luTi
qaza zarur thi aani magar zahe taqdir
jahan mein husn ke hathon meri hayat luTi
KHabar hui kisi madhosh-e-aish ko na zara
hamari bazm-e-tamanna tamam raat luTi
tabah-e-ishq hain bulbul chakor parwana
rah-e-jahan mein na sirf aadmi ki zat luTi
na jam hai na surahi hai dekh ai saqi
mere na hone se bazm-e-takallufat luTi
mujhe to luT liya 'ashk' ranj-o-gham ne magar
meri kisi se na bazm-e-taKHaiyyulat luTi

Ghazal
Kuchh is tarah gham-e-ulfat ki kaenat luTi
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali