kuchh is ke siwa KHwahish-e-sada nahin rakhte
hum tujh se bichhaDne ka irada nahin rakhte
kab dil ki taraf lauT ke aaenge safine
sahra ke bagule gham-e-jada nahin rakhte
kya KHak simaT paenge duniya ke bakheDe
hum log to daman bhi kushada nahin rakhte
uD jaenge hum bhi waraq-e-KHak se ek din
rangon ke siwa koi libaada nahin rakhte
har aankh ko hum saghar-o-mina nahin kahte
har aankh pe hum tohmat-e-baada nahin rakhte
qaem bharam apna hai asiri se wagarna
hum taqat-e-parwaz ziyaada nahin rakhte

Ghazal
Kuchh is ke siwa KHwahish-e-sada nahin rakhte
Najeeb Ahmad