kuchh is andaz se hain dasht mein aahu nikal aae
ki un ko dekh kar phulon ke bhi aansu nikal aae
falak ko kaun si wadi barahna-sar nazar aai
garajte baadalon ke lashkari har-su nikal aae
abhi to ek hi dil ka daricha wa kiya main ne
yahan bahr-e-ziyarat kis qadar jugnu nikal aae
jo sajde ki nahin to raqs karne ki ijazat ho
kisi sine se jab bahar teri KHushbu nikal aae
isi ummid par kaTa safar tarik rahon ka
na jaane kaun se gumbad se wo mah-ru nikal aae
chaman-zar-e-wafa mein mausamon ki apni fitrat hai
burida ek bazu se kai bazu nikal aae
kabhi to ehtiyat-e-zohd se hael hue parde
kabhi masti mein bhi tasbih ke pahlu nikal aae

Ghazal
Kuchh is andaz se hain dasht mein aahu nikal aae
Syed Manzoor Haidar