kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe
jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe
iman-o-kufr aur na duniya-o-din rahe
ai ishq-e-shad-bash ki tanha hamin rahe
aalam jab ek haal pe qaem nahin rahe
kya KHak e'tibar-e-nigah-e-yaqin rahe
meri zaban pe shikwa-e-dard-afrin rahe
shayad mere hawas Thikane nahin rahe
jab tak ilahi jism mein jaan-e-hazin rahe
nazren meri jawan rahen dil hasin rahe
ya-rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki KHair ho
dast-e-junun rahe na rahe aastin rahe
ta-chand josh-e-ishq mein dil ki hifazaten
meri bala se ab wo jununi kahin rahe
ja aur koi zabt ki duniya talash kar
ai ishq hum to ab tere qabil nahin rahe
mujh ko nahin qubul do-alam ki wusaten
qismat mein ku-e-yar ki do-gaz zamin rahe
ai ishq-e-nala-kash teri ghairat ko kya hua
hai hai araq araq wo tan-e-naznin rahe
dard-o-gham-e-firaq ke ye saKHt marhale
hairan hun main ki phir bhi tum itne hasin rahe
allah-re chashm-e-yar ki mojiz-bayaniyan
har ek ko hai guman ki muKHatib hamin rahe
zalim uTha tu parda-e-wahm-o-guman-o-fikr
kya samne wo marhala-ha-e-yaqin rahe
zat-o-sifat-e-husn ka aalam nazar mein hai
mahdud-e-sajda kya mera zauq-e-jabin rahe
kis dard se kisi ne kaha aaj bazm mein
achchha ye hai wo nang-e-mohabbat yahin rahe
sar-dadgan-e-ishq-o-mohabbat ki kya kami
qatil ki tegh tez KHuda ki zamin rahe
is ishq ki talafi-e-mafat dekhna
rone ki hasraten hain jab aansu nahin rahe
Ghazal
Kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe
Jigar Moradabadi