kuchh din to kar taawun ai KHush-sifat mujh se
tanha na ho sakegi tathir-e-zat mujh se
fariyaad ai samaat insaf ai farasat
karte hain ahl-e-duniya duniya ki baat mujh se
hairan hun ki us tak kis kis jihat se pahunchun
aawargi-talab hain sad-ha jihat mujh se
kyun ai hayat-e-rafta roke hue hai rasta
kya chahti hai aaKHir ai be-sabaat mujh se
yunan ke saKHi to talKHab nazr kar den
pani aziz rakkhen ahl-e-furaat mujh se
gardish mein hain sitare hai koi jo pukare
aa ai gharib-e-kucha le ja zakat mujh se
wa hai daricha-e-dil ek chiKH ban ke dar aa
sargoshiyan kahan tak ai sard raat mujh se
Ghazal
Kuchh din to kar taawun ai KHush-sifat mujhse
Anwar Shuoor