kuchh dil ka talluq to nibhao ki chala main 
ya TuT ke aawaz lagao ki chala main 
darpesh masafat hai kisi KHwab-nagar ki 
ek dip mere pas jalao ki chala main 
is shahr ke logon pe bharosa nahin karna 
zanjir koi dar pe lagao ki chala main 
ta-dil mein tumhaare bhi na ehsas-e-wafa ho 
ji bhar ke mujhe aaj satao ki chala main 
mushtaq nigahon se ye sehr TuT raha hai 
chehre pe koi rang sajao ki chala main 
is shahr-e-marasim mein to sangsar hua hun 
patthar hi sar-e-rah sajao ki chala main 
is tishna-labi par mujhe ezaz to baKHsho 
ai baada-kasho jam uThao ki chala main 
is darja taghaful ki nahin tab jigar ko 
tum aur bahane na banao ki chala main 
ek KHwab hai wo KHwab to pura karo 'sahil' 
ek sher mera mujh ko sunao ki chala main
        Ghazal
Kuchh dil ka talluq to nibhao ki chala main
KHalid Malik u0027Sahilu0027

