kuchh der to duniya mere pahlu mein khaDi thi
phir tir bani aur kaleje mein gaDi thi
aaankhon ki fasilon se lahu phuT raha tha
KHwabon ke jazire mein koi lash paDi thi
sab rang nikal aae the taswir se bahar
taswir wahi jo mere chehre pe juDi thi
main chand hatheli pe liye jhum raha tha
aur TuTte taron ki har ek samt jhaDi thi
alfaz kisi sae mein dam lene lage the
aawaz ke sahra mein abhi dhup kaDi thi
phir main ne use pyar kiya dil mein utara
wo shakl jo kamre mein zamane se paDi thi
har shaKHs ke hathon mein tha KHud us ka gareban
ek aag thi sanson mein aziyyat ki ghaDi thi
Ghazal
Kuchh der to duniya mere pahlu mein khaDi thi
Aziz Nabeel