kuchh der meri KHak uDi hai meri jagah
sahra mein us ke baad tahi hai meri jagah
main le raha hun dasht se chhuTTi so mere baad
taKHt-e-junun pe baiThe koi hai meri jagah
main to idhar khaDa hun udhar chiKHta hai kaun
ye kis ko aag lagne lagi hai meri jagah
mera hunar hai ye teri dariya-dili nahin
ab tak jo tere dil mein bani hai meri jagah
apni to aarzu hai na marzi na hi pasand
tu jis jagah biTha de wahi hai meri jagah
sab dekhta hun bolta lekin main kuchh nahin
taswir jaise meri paDi hai meri jagah
bashindga-e-charKH meri fikr chhoD den
KHush hun zamin par ki yahi hai meri jagah
taswir mein to apni jagah par hai main nahin
ek ajnabi si shakl khaDi hai meri jagah
ab dekho farq bagh pe paDta hai is se kya
'zishan' rut badal to gai hai meri jagah
Ghazal
Kuchh der meri KHak uDi hai meri jagah
Zeeshan Ilahi