kuchh dafn hai aur sans liye jata hai
ek sanp hai jo qalb mein lahraata hai
ek gunj hai jo KHun mein chakraati hai
ek raaz hai pur-pech hua jata hai
ek shor hai jo kuchh nahin sunne deta
ek ghar hai jo bazar hua jata hai
ek band kali hai jo khili paDti hai
ek dasht-e-bala hai ki jala jata hai
ek KHauf hai jo kuchh nahin karne deta
ek KHwab hai jo nind mein taDpata hai
do panw hain jo haar ke ruk jate hain
ek sar hai jo diwar se Takraata hai
Ghazal
Kuchh dafn hai aur sans liye jata hai
Suhail Ahmed Zaidi