اردو हिंदी
Kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar to aae | Shaahi Shayari
kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar to aae

Ghazal

Kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar to aae

Alam Khursheed

;

kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar to aae
Dubne ke liye girdab nazar to aae

koi tabir ki surat bhi nikal aaegi
nind to aae kabhi KHwab nazar to aae

band kamre ki faza kis ko bhali lagti hai
mere atraf mein mahtab nazar to aae

do ghaDi Thahrun kahin main bhi zara dam le lun
rah mein KHitta-e-shadab nazar to aae

main shikasta hun idhar tu bhi shikasta hai udhar
jang mein koi zafar-yab nazar to aae

mushkilen gher ke baiThi hain mera ghar 'alam'
ab zara halqa-e-ahbab nazar to aae