kuchh bhi tha sach ke taraf-dar hua karte the
tum kabhi sahab-e-kirdar hua karte the
sunte hain aisa zamana bhi yahan guzra hai
haq unhen milta jo haqdar hua karte the
tujh ko bhi zoam sa rahta tha masihai ka
aur hum bhi tere bimar hua karte the
ek nazar roz kahin jal bichhae rakhti
aur hum roz giraftar hua karte the
hum ko malum tha aana to nahin tujh ko magar
tere aane ke to aasar hua karte the
ishq karte the faqat pas-e-wafa rakhne ko
log sach-much ke wafadar hua karte the
aaina KHud bhi sanwarta tha hamari KHatir
hum tere waste tayyar hua karte the
hum gul-e-KHwab sajate the dukan-e-dil mein
aur phir KHud hi KHaridar hua karte the
kucha-e-'mir' ki jaanib nikal aate the sabhi
wo jo 'ghaalib' ke taraf-dar hua karte the
jin se aawargi-e-shab ka bharam tha wo log
is bhare shahr mein do-chaar hua karte the
ye jo zindan mein tumhein sae nazar aate hain
ye kabhi raunaq-e-darbar hua karte the
main sar-e-dasht-e-wafa ab hun akela warna
mere ham-rah mere yar hua karte the
waqt ruk ruk ke jinhen dekhta rahta hai 'salim'
ye kabhi waqt ki raftar hua karte the
Ghazal
Kuchh bhi tha sach ke taraf-dar hua karte the
Saleem Kausar