اردو हिंदी
Kuchh bhi nahin hai KHak ke aazar se pare | Shaahi Shayari
kuchh bhi nahin hai KHak ke aazar se pare

Ghazal

Kuchh bhi nahin hai KHak ke aazar se pare

Dilawar Ali Aazar

;

kuchh bhi nahin hai KHak ke aazar se pare
dekha hai main ne bar-ha us par se pare

ek naqsh khinchta hai mujhe KHwab se udhar
ek daera bana hua parkar se pare

ya-rab nigah-e-shauq ko wusat nasib ho
meri nazar pe bar hai diwar se pare

tum KHud hi dastan badalte ho dafatan
hum warna dekhte nahin kirdar se pare

kuchh lafz jin ko ab koi tartib chahiye
guzre hue KHayal ke izhaar se pare

'azar' ab un ka nam-o-nishan mil nahin raha
uDta hua ghubar hai kohsar se pare