kuchh bhi ho us se judai ka sabab ghar jao
Dhal chuki sham andhera hua ab ghar jao
shab mein ghus aate hain aaseb mere shahron mein
tak mein rahti hai ye wahshat-e-shab ghar jao
log haq mangne pahunche the shahanshah ke pas
nok-e-KHanjar pe mila hukm ke sab ghar jao
nahin ye zaKHm qabile ke liye bais-e-naz
qatl ho lo kisi talwar se tab ghar jao
un se wabasta hain bachpan ki hazaron yaaden
chum lena dar-o-diwar ko jab ghar jao
ganw mein koi tumhaare liye bekal hai 'sharif'
jaane kab tum ko KHayal aaega kab ghar jao

Ghazal
Kuchh bhi ho us se judai ka sabab ghar jao
Shareef Ahmad Shareef