اردو हिंदी
Kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain | Shaahi Shayari
kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain

Ghazal

Kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain

Sardar Genda Singh Mashriqi

;

kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain
muddat se un ki hum par ye mehrbaniyan hain

aata hai jab kisi par rukta nahin hai hargiz
manind-e-mauj-e-dariya dil ki rawaniyan hain

paida kahan hain hote ab 'zauq' aur 'ghaalib'
han 'dagh' aur 'haali' un ki nishaniyan hain

jo pas tha wo khoya nam-e-salaf Duboya
kya KHak apni ai dil ab zindaganiyan hain

ai dil na chheD qissa ho dard jis se paida
ye sher-KHwaniyan hai ya nauha-KHwaniyan hain

kya hum ne ye nikali tarz-e-ghazal nirali
kuchh guf-fishaniyan hain kuchh KHun-fishaniyan hain

baad-e-KHizan ne gulshan viran kiya hai sara
bulbul ki ab kahan wo rangin-bayaniyan hain

jaur-o-jafa ke aise hum ho gae hain KHugar
na-meharbaniyan bhi ab mehrbaniyan hain

ai 'mashriqi' jahan mein dekha yahi tamasha
kuchh matam-o-alam hai kuchh shadmaniyan hain