kuchh aur rang main tartib-e-KHushk-o-tar karta
zamin bichha ke hawa oDh ke basar karta
gul o shaguft ko aapas mein dastaras deta
aur aaine ke liye aaina sipar karta
charagh-e-kohna haTata fasil-e-murda se
giyah-e-KHam pe shabnam dabiz-tar karta
wo nim nan-e-KHunuk aab aur sag-e-ham-nam
main zer-e-sabz-shajar apna mustaqar karta
wo jis se shahr ki diwar be-nawishta hai
main us ki shaKH-e-tahayya ko be-samar karta
main chumta hua ek ahd-nama-e-mansuKH
kisi qadim samundar mein rahguzar karta
Ghazal
Kuchh aur rang main tartib-e-KHushk-o-tar karta
Afzal Ahmad Syed