اردو हिंदी
Kuchh aisi kaifiyat se saqi-e-mastana aata hai | Shaahi Shayari
kuchh aisi kaifiyat se saqi-e-mastana aata hai

Ghazal

Kuchh aisi kaifiyat se saqi-e-mastana aata hai

Jauhar Zahiri

;

kuchh aisi kaifiyat se saqi-e-mastana aata hai
ki jaise rang chhalkata hua paimana aata hai

kuchh aise bhi hain jo mahfil mein tishna-kaam rahte hain
nigah-e-lutf haTti hai agar paimana aata hai

ye kis ki shakl aankhen band karte hi nazar aai
ye kis ka nam lab par KHud paye afsana aata hai

use hum bhul jaen hum ne chaha hai bahut lekin
KHayal aata hai akasr aur bebakana aata hai

mujhe is be-KHudi par bhi dil-e-marhum ai 'jauhar'
bahut yaad aata hai jab daur mein paimana aata hai