اردو हिंदी
Kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-asman guzre | Shaahi Shayari
kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-asman guzre

Ghazal

Kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-asman guzre

Jafar Abbas Safvi

;

kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-asman guzre
ki jin ke farsh pe bhi arsh ka guman guzre

mere sukut-e-musalsal ko bhi sada dena
agar idhar se kabhi sorish-e-zaman guzre

tujhe KHabar hai teri yaad mein sar-e-mizhgan
tamam raat sitaron ke karwan guzre

wahi to hain meri barbaad umr ka hasil
jo hadsat jawani mein na-gahan guzre

tilism-e-husn-o-mohabbat nahin to phir kya hai
dilon ki baat nigahon ke darmiyan guzre

tumhaare wada-e-farda ki zad mein jo aae
phir us ki raat kahan guzre din kahan guzre

ab apna haal-e-dil-e-zar kya kahun 'jafar'
har ek baat meri un pe jab garan guzre