kuchh abruon pe bal bhi hain KHanda-labi ke sath
farma rahe hain jaur magar dil-kashi ke sath
shamil ho gar na gham ki KHalish zindagi ke sath
rakkhe na koi rabt-e-mohabbat kisi ke sath
is ehtimam-e-jashn-e-mashiyyat ko kya kahun
paida kiya hai dard dil-e-admi ke sath
jine na den hayat ki paiham shararten
insan jo KHud sharir na ho zindagi ke sath
har gam par hai laghzish-e-pa ka bhi ek KHatar
chaliye rah-e-wafa mein salamat-rawi ke sath
mumkin hai mil hi jae maqam-e-sukun kahin
ta marg ham-rikab raho zindagi ke sath
ba-wasf-e-zikr-e-kausar-o-tasnim kis liye
waiz ko zid hai mashghala-e-mai-kashi ke sath
malum us ki talKHi-e-anjam hai magar
'anwar' bila KHulus na miliye kisi ke sath

Ghazal
Kuchh abruon pe bal bhi hain KHanda-labi ke sath
Anwar Sabri