اردو हिंदी
Koshishen kar ke dil bura kiya tha | Shaahi Shayari
koshishen kar ke dil bura kiya tha

Ghazal

Koshishen kar ke dil bura kiya tha

Azhar Faragh

;

koshishen kar ke dil bura kiya tha
us parinde ko jab riha kiya tha

kam aziyyat mein jaan chhuT gai
apne qatil se mashwara kiya tha

KHak se jitna zahr jazb kiya
apni shaKHon se runuma kiya tha

main ne ek din biTha ke bachchon ko
apne ajdad ka gila kiya tha

hum se sarzad hua tha kar-e-KHair
kya bataen ki hum ne kya kiya tha

waise wo meri dastaras mein hai
ehtiyatan muhasara kiya tha