اردو हिंदी
Koshish to hai ki zabt ko ruswa karun nahin | Shaahi Shayari
koshish to hai ki zabt ko ruswa karun nahin

Ghazal

Koshish to hai ki zabt ko ruswa karun nahin

Rajesh Reddy

;

koshish to hai ki zabt ko ruswa karun nahin
hans kar milun sabhi se kisi par khulun nahin

qimat chuka raha hun main shohrat ki is tarah
wo ho ke rah gaya hun jo dar-asl hun nahin

ai maut kam hi rahta hun main apne aap mein
aisa na ho na ki aae tu aur main milun nahin