koi to hai ki nae raste dikhae mujhe
hawa ke dosh pe aae ghazal sunae mujhe
kise KHabar hai ki jita hun jagta hun main
wo ek shaKHs har ek moD par bachae mujhe
larazte panw bhi mere asa-ba-dast bhi main
wo bazuon pe uThae kabhi chalae mujhe
hai us ke nam ki mala mere labon ka subu
main us ko sher sunaun wo gungunae mujhe
wo aaina hai to aks-e-sahr hun main lekin
wo apne aap ko dekhe kabhi sajae mujhe
dukhon ke sard niwale ghamon ki garm zaban
hansi hansi mein chhupae kabhi dikhae mujhe

Ghazal
Koi to hai ki nae raste dikhae mujhe
Rasheed Nisar