koi to dil ki nigahon se dekhta jae
hamari ruh ke kuchh gham sameTta jae
tumhaare milne ki har aas aaj TuT gai
tumhin batao ki ab kis tarah jiya jae
zara to sochiye us dil ka haal kya hoga
talash-e-gul mein jo patthar ki choT kha jae
saja ke tum ko gulon se uThae hain patthar
zamana kitna sitamgar hai kya kiya jae
karenge kaise haqiqat ka samna hum log
hamein to KHwab hi koi dikha diya jae
kisi tarah to andhere ghamon ke chhaT jaen
mera bujha hua dil hi koi jala jae
rah-e-hayat mein kanTe bichhen ki phul khilen
ye shart hai teri jaanib wo rasta jae

Ghazal
Koi to dil ki nigahon se dekhta jae
Masooda Hayat