koi to aa ke rula de ki hans raha hun main
bahut dinon se KHushi ko taras raha hun main
sahar ki os mein bhiga hua badan tera
wo aanch hai ki chaman mein jhulas raha hun main
qadam qadam pe bikharta chala hun sahra mein
sada ki tarah makin-e-jaras raha hun main
koi ye kah de meri aarzu ke moti se
sadaf sadaf ki qasam hai baras raha hun main
hayat-e-ishq mujhe aaj ajnabi na samajh
ki saya saya tere pesh-o-pas raha hun main
nafas ki aamad-o-shud bhi hai sanehe ki tarah
gawah rah ki tera ham-nafas raha hun main
jahan bhi nur mila khil uTha shafaq ki tarah
jahan bhi aag mili KHar-o-KHas raha hun main
Ghazal
Koi to aa ke rula de ki hans raha hun main
Shaz Tamkanat