اردو हिंदी
Koi tasir to hai isko nawa mein aisi | Shaahi Shayari
koi tasir to hai isko nawa mein aisi

Ghazal

Koi tasir to hai isko nawa mein aisi

Tauqeer Taqi

;

koi tasir to hai is ki nawa mein aisi
raushni pahle na thi dil ki faza mein aisi

aur phir us ke taaqub mein hui umr tamam
ek taswir uDi tez hawa mein aisi

jaise viran haweli mein hon KHamosh charagh
ab guzarti hain tere shahr mein shamen aisi

aankh masruf hai zambil-e-hunar bharne mein
kis ne rakkhi hai kashish arz o sama mein aisi

ulTi jaanib ko safar karne laga har manzar
sansani phail gai rah-e-fana mein aisi

kahkashaen bhi tahayyur se nikal sakti nahin
chhoD aaya hun kai nazren KHala mein aisi

yahin aana hai bhaTakti hui aawazon ko
yani kuchh baat to hai koh-e-nida mein aisi