koi tamir ki surat nikalo
koi taza bina-e-ishq Dalo
bulati hain tumhein yaaden purani
charagh-e-raftagan fursat nikalo
mujhe chehron se KHauf aane laga hai
mere kamre se taswiren haTa lo
ye dariya hai guzar jaana hai is ko
musafir ho tum apna rasta lo
kahan ab wo libas-e-waza-dari
bahut jaano agar ghurbat chhupa lo
wafa qimat nahin jo lauT aae
tum apna az-sar-e-nau jaeza lo
nahin aazar-e-jaan koi to mirza
kisi diwar ka saya uTha lo
Ghazal
Koi tamir ki surat nikalo
Rasa Chughtai