koi soche na hamein koi pukara na kare
hum kahin hain ki nahin hain koi charcha na kare
raat afsun hai kahin ka nahin rahne deti
din ko soe na koi raat ko jaga na kare
hum nikal aae hain ab dhup mein jalne ke liye
koi baadal nahin bheje koi saya na kare
an-ginat aankhon mein hum jalte rahe bujhte rahe
ab bhale KHwab hamara koi dekha na kare
hum ne ek shahr basa rakkha hai diwaron mein
kaam jo dil ne kiya chashm-e-tamasha na kare
koi ab ja ke zara dekhe to us miTTi ko
aise sairab kiya hai koi dariya na kare
go faramoshi ki takmil hua chahti hai
phir bhi kah do ki hamein yaad wo aaya na kare
hum use ranj-e-tamanna se to bhar sakte hain
aur ye dil hai ki ab koi taqaza na kare
war karna hai agar hum pe to wo khul kar aae
aur bhule se bhi ye kaam wo tanha na kare
Ghazal
Koi soche na hamein koi pukara na kare
Abrar Ahmad